Yeh vishwass hai mujhe ki yeh rasta sahi hai
Par kyun pehla kadam rakhte hi
patthar mile saath nahin
To laga ki kuch galat to nahin hai
Par nahin yahi woh rasta hai ,
Jo sahi hai aur shikhar tak jata hai
Phir samajh mein aya ki
Jin logon ne patthar mara hai
Woh wahi hai jo kehtein hai
Us shikhar pe haque sirf humara hai
Par mujhe iccha sirf mere shikhar ki hai
Unki bulandiyon se mera koi wasta nahin
Phir bhi jab main us unchayi ki taraf ungli ki aur kaha - woh raha
To kyun unhone us ungli ko morna chaha
Khair itna samajhti hun
Ki ungli shayad mur jayegi
Par kadam nahin ,
Iishwar saath hai , yeh janti hun
Khud par bharosa hai yeh manti hun
Kisi ko peeche chorne ka nahin par khud ko aage le jaane ka hai suroor
Isliye patthar pare to bhi aage barungi zaroor
Us shikar per mere liye bhi jagah hai
Isliye apni name plate lagaongi zaroor.